IN SHA ALLAH KAHNE KI AHMIYAT


*** Bismillah Hirr Rahman Nirr Rahim…***
.
.
.
⇨”Aur Hargiz Kisi Kaam Par Yun Na Kehna K Main Aisai Kal Kar Dunga.
.
Magar Sath Hi InshaAllah Keh Lena ,
( Yani Agar Allah Chaha To Kar dunga).
.
Aur Jab Bhi Bhoole Apne Parwardigar ko Yaad kar Liya Karna
.
Aur kehte Rehna Mujhe Poori Ummeed Hai K Mera Rab Mujhe Is Se Bhi Ziyada Hidayat K Qareeb ki Baat ki Rehbari Karay”.
.
(Qur’an 18:23-24)

QAYAMAT TAB TAK QAYEM NA HOGI JAB TAK MUSALMAN AAPAS ME EK DUSRE KO HALAAQ NA KARNE LAG JAAYEN


✿✿Assalamualaikum Warahmatullahi Wabarakatuhu✿✿
 

 *** Bismillah hir-Rahman nir- Raheem ***
 

 Hazrath Thauban Radi Allahu Anhu se Rivayat hai ki Rasoollallah sallallahu Alaihi wasallam ne Farmaya
 

 “Allah Subhanahu ne lapet liya Zameen ko Mere liye (yani sab Zameen ko Mere samney kar diya) To Mainey uska Purab aur Pachchim dekha aur Meri Hukumat wahan tak pahuchegi jaha tak Zameen Mujhko dikhlayee gayee Aur Mujhko Do khazaney miley Surkh aur Safed Aur Mainey Dua ki apney Allah se ki Meri Ummat ko ek hi martaba qahat se halak na karna aur un par kisi aisey Dushman ko musallat na karna jo Sari Ummat ko halak kar de , Mere Allah ne farmaya,

” Eh Muhammed Sallallahu Alaihi Wasallam ! Main jab koi Hukm kar deta hun phir wo nahi palat ta, aur Mainey Aapki ye Duayein qubul ki Main Aapki ummat ko Aam qahat se halak na karunga aur na un par kisi aisey Dushman ko musallat karunga jo Sari Ummat ko halak kar de chahey zameen ke tamam log iskey liye ek saath ho jaye ( ki musalmano ko tabah karney ke liye lekin unko bilkul Tabaah NA kar sakegey) yahan tak ki khud Musalman ek dusrey ko halak karengey aur ek dusrey ko Qaid karengey “.
(Sahih Muslim, Vol 6, 7258 )

JANAAZE KI SHAFA’AT KE BAYAAN ME


Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Allah subhanahu us ( janazae ) ke haq mein unki shafa’at qubul karta hai
————————–
Abdullah bin Abbas Radhi Allahu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jis musalman ke janaze mein chalis (40) aadmi aise ho jinhone Allah subhanahu ke saath kisi ko sharik nahi kiya ho to Allah subhanahu us ( janazae ) ke haq mein unki shafa’at qubul karta hai
{Sahih Muslim, Vol 2, 2199}

————————–——-
English Translation:

Abdullah bin Abbas Radhi Allahu Anhu reported that
The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said If any Muslim dies and forty men who associate nothing with Allah stand over his prayer (they offer prayer over him), Allah will accept them as intercessors for him.
{Sahih Muslim, Book 4, 2072}

MAYYIT KO GHUSL KA TAREEQA


Hazrat Muhammad s.a.w Marvi’ Mayyat Ko Ghusl Deny Ka Sahi Tarika Kiya Hai?
.
Answer : 

Mayyat Ko Ghusl Deny Ka Sharai Tarika Ye Hai Ki Sab Se Pahle ‘ Mayyat Ki Sharam gaah Ko Dhoye’ 

Phir Ise Ghusal Dena Shuru Kare Aur Pahly Ise Wazu Karaye Lekin Is Ke Munh Aur Naak Mai Pani Na Dale Balki Kapre Ko Pani Se Tar Kar Ke Is Ke Munh Aur Nak Ko Saaf Kar De’ 

Phir Baki Jism Ko Aise Pani Se Dhoye Jis Mai Beri Ke Patte Mile Huwe Ho (Woh Is Tarha Ke) Beri Ke Patte Bareek Koot Kar Pani Mai Milaye Jayen Aur Phir Pani Mai Hath Daal Kar Hilaya Jaye Hatta Ke Beri Ke Patto Ka Jhag Peda Ho Jaye To Jhag Le Kar Sar Aur Darhi Ko Dho De Aur Baki Patto Ke Sath Baki Sare Jism Ko Achi Tarh Dho Diya Jaye’ 

Beri Ke Patto Ke Istemal Se Khub Achi Tarh Safai Ho Jayegi. 

Aakhri Baar Jism Par Pani Bahate Huwe Is Mai Kapoor Bhi Shamil Kar Lia Jaye Jo Ki Aik Ma’aruf Khushbu Hai. 

Ulema Farmate Hain Ke Kapoor Ke Istemal Ki Faide Ye Hain Ki Is Se Jism Sakht Ho Jata Hai Aur Keere Makore Bhag Jate Hain. 

Agar Mayyat Ke jism Par Mail Jyada Ho To Ise Jyada Bar Ghusl Diya jaye Kyon Ki Nabi Kareem s.a.w Ne In Khawatin Se Farmaya Tha Jo Apki Sahabzadi Ko Ghusl De Rahi Thi:

 “Ise Teen (3) Bar Ya Panch (5) Bar Ya Saat (7) Bar Ghusl Do Aur Ager Zarurat Mahsus Karo To Is Se Jyada Bar Bhi Ghusl De Sakte Ho.”
.
Sahi Al-Bukhari no. 1259,
.
Sahi Muslim no. 939.
.
Ghusl Ke Bad Mayyat Ke Jism Se Pani Ko Saf Kar Diya Jaye Aur Ise Kafan Pahna Diya Jaye.

DUSRON KO ACCHI BAATON KA HUQM KARO MAGAR KHUD BHI AMAL KARO


Bismillah Ar-Rahman Ar-Rahim

Hadith: Dusron ko achchi baaton ka hukm karo magar khud bhi us par amal karo warna…..
—————————–
Urdu Translation:
Usama bin zaid radi allaho anho se rivayat hai ki Rasoollallah sallallaho alaihey wasallam ne farmaya Qayamat ke din ek shaksh laya jayega phir wo jahannam mein dala jayega uskey pet ki aantein (intestine) bahar nikal aayegi, wo unko liye huye gadhey ki tarah jo chakki peesta hai chakkar lagayega aur jahannam waley uskey paas ekaththey hongey us sey puchengey ki Eh falah kya tu achchi baaat ka hukm nahi karta tha aur buri baat se manaa nahi karta tha ? wo kahega main to aisa karta tha lekin dusron ko achchi baat ka hukm karta tha aur khud (us par amal ) nahi karta aur dusron ko buri baat se manaa karta tha lekin khud us sey baaz na rahta tha.
{Sahih Muslim, 7483}

——————————–
English Translation:

Usama b. Zaid Radi Allaho Anho reported: I beard Allah’s Messenger (may peace be upon him) as saying: A man will be brought on the Day of Resurrection and thrown in Hell-Fire and his intestines will pour forth in Hell and he will go round along with them, as an ass goes round the mill. stone. The denizens of Hell would gather round him and say: 0, so and so, what has happened to you? Were you not enjoining us to do what was reputable and forbid us to do what was disreputable? He will say: Of course, it is so; I used to enjoin (upon people) to do what was reputable but did not practise that myself. I had been forbidding people to do what was disreputable, but practised it myself.
 

{Sahih Bukhari, Book 042, Number 7122}

 Via– Faisal saiyed

TATTOO BANWAANA HARAM HAI


✿Assalamualaik um Warahmatullahi Wabarakatuhu✿✿

* ** Bismillah hir- Rahman nir-Raheem ***

Hazrath Abdullah Ibn Mas’ud (RaziALLAHU Anhu) se riwayiat hai k RasulALLAH (Sal’lal’lahu Alaihe Wasallam) ne farmaya :
 

 “Allah ne LAANAT ki hai un Aurton par Jo Tattos banatey hain aur jo banwatey hain Jo Bahuu (eyebrows) banatey hain aur jo banwatey hain Aur Jo Daanto ko file kerwatey hain khubsurti k liye khudrati Banawat mein Kami ya Izafa kertey hain
 

Sahih Bukhari (Book #72, Hadith #815)
(Book #72, Hadith #826)
(Book #72, Hadith #822)

GIRGIT KO MAARNE KA HUQM


Rasule maqbool s.a.w Ne Frmaya


“jo Chhipkali (ya girgit) Ko Pahli Chot Me Mar Dalega Usko Itni Nekiya Milegi Aur Jo Dusari Chot Me Marega Usko Itani Itni (yani pahli se kam) Nekiya Milegi Aur Jo Teesri Chot Me Marega Usko Dusari Martaba wale Se Kam Nekiya Milegi “

[Sahi Muslim 2240 , Ibne Majah 3229] 



Note : Kyo Ki Hzrt Ibrahim a.s Ko Aag Me Dala Gaya To Tamam Duniya Ke Janwar Usko Bujhane Me Mashghul The Lekin Girgit Usme Phunk Mar Markar Usko Jalata Tha Chunache Ap s.a.w Ne Ise Fasiq Aur Qatl Krne Ka Hukm Dia

MAA BAAP KE HUQOOQ


ALLAH TAALA NE FARMAAYA:


“Aur tere Parwardigaar Ne huqm De Rakha hai ke Mere Elaawa Kisi ki Ibaadat Mat karo, Aur Apne Maa Baap Se Acchha Sulook Kiya Karna, Agar Unme Ka ek Ya Dono Teri Maujoodagi Me Budhaape Ko Pahunche ( toh unki Khidmat karte hue) Tum Unko ‘ uff’ tak Bhi Na kahna Aur Na Unko Jhidakna Aur Na unko Taqleef Dena (warna unka Zara sa bhi Dil toota Toh Teri Khair Nahin),

Aur Muhabbat Se unke Aage Jhuk Jaaya Karna Aur (Unke Liye Dua Karte Hue ) Kaha Karna Ki

Aiy mere Parwardigaar ! Un dono Par Raham Farma, Jaisa Ki Unhone Mujhe Bachpan Me paala Posa”

(Surah bani Israel ayat 23-24)

Is aayat Se umoom Se Jamhoor Ulema Ne Yahi Huqm Nikaala Hai Ki

Maa , Baap ko Kisi Bhi Tarah Ka Zara Sa bhi Takleef Pahunchaana Haraam Hai.

ROZI KITNI MILEGI


Anas Bin Malik(Radiallahu Anhu) Se Rivayat Hai
Ki Rasoollallah(Sallallhu Alaihi Wasallam) Ne
Farmaya

“Raham-E-Madar Mein(Yani Maa Ke
Pait Mein) Allah Ta’ala Ne Ek Farishta Muqarrar
Kiya Hai,

Wo Kahta Hai Eh Rab Ye Nutfa(Semen)
Hai,

Eh Rab Ab Ye Alqa(Clot) Ho Gaya Hai,

Eh
Rab Ab Ye Mudhga(Little Lump Of Flesh) Ho
Gaya Hai,

Phir Jab Allah Chahta Hai Ki Uski
Khalqat Puri Karey To(Farishta) Puchta Hai

Ladka Hai Ya Ladki?,

Bad Bakht Ya Neik Bakht?

Rozi Kitni Milegi?

Aur Umar Kitni Hai.

Phir Maa
Ke Pait Mein Hi Ye Tamam Baatein Likh Di Jati
Hai.

(Sahih Bukhari, Vol1, 318)

 

==========REPLY TO THE CHALLENGE BY HANFI ON AHLUL HADITH ============ REPLY OF AL L 14 ALLEGATIONS BASED ON QUR’AN AND HADITH


BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM

1)//Ahle Hadith Janaze me Pahli takbeer ke baad, Sana, Fatiha aur Soora Parhte hain, //

Reply:- Aisha siddiqa ra se riwayat hai Allah ke Rasool sws Namaz shuru kerte to kahte “ Subhanaka Allahuma wa behamdika wa tabaraksmoka wa ta’ala jaddoka wa la ilaha gairoka :Tirmizi: 243

Talha bin Abdulllah ra kahte hai ke maine ibne Abbas ra ke piche namaze janaza parha unhone soorat Fatiha aur ek aur soorat parhi aur bulnad aawaaz se Qeraat ki hatta ke hum ne suna , jab faarig hue to fermaya ke ye sunnat aur Haq hai.Nisai: 1987, 74/4_________________________________________________________________

2)// Ahle Hadith Janaze me 1 se Jyada Dua parhte hain.//

Reply:-

“Allahumagfirli hayyena wa mayyetena , wa sageerena wa kabeerena, wa jakirena wa unsaana, wa shahedena wa gaibena , Allahuma man ahyaytahu minna fa ahyehi alal Imaan, wa man tawaffaytahu minna Fatawaffahu alal islam, Allahuma la tahrimna azrahu wala todillana baa’dahu. “Abu dawood 3201.

Allahumagfirlahu wa rahmatahu wa a’afehi, wa a’afo anho wakrim nuzulohu wa wassi’a mood khalahu wagsilhu bil maa’I was salji wal bardi wa maqqihi minal khataya kama naqqaayatas sauba al baida minad danasi wab dilhu daaran khairann min da’arehi , wa ahlann khairam min ahlehi, wad khilhul jannata wa a’aizhu min azabil qabre wa azabin naar.(Muslim 963)_________________________________________________________________

3) // Namaz Janaza me teesri takbeer ke baad jab Imam ek se jyada Duaaye perhta hai to Muktad aameen aameen kahte hain.//

REPLY: YE JHOOOT HAI, AISA , JISKO DEKHNA HO MAKKA MADINA ME JANAZA PARH KE DEKH LE,_________________________________________________________________

4)// Rafadain in Takbeerat of Namaz- Janaza:-//

Reply:- Abdula bin umar ra ne fermaya Nabi sws jab Janaze me Takbeer perhte to Rafa dain karte .Darqatani ( English, 2908.)_________________________________________________________________

5) Ahle Hadith Qunooot me hath utha ker duaa kerte hai.:-

Reply:- Koi Marfooh riwayat nahi hai Lekin kuch Sahabiyoo ke Aasaar mauzood hai ke wo hath utha ker Dua karte the.( Musannif ibne abi Shaiba )_________________________________________________________________

6) Duq Qunoot ke Ikhtamaam par mooh per haath pherna:-

Reply:-

Iski sunnat se koi Daleel nahi hai , Per Agar koi aisa karta hai to ye Biddat me shumaar nahi hai. Olemao ne aisa karne ko mana kia hai, islie Haram ya Ahle HAdith Masjido ke imam Qunoot ke baad Dua parh ke Chehre pe nahi daalte balke seedhe Rukoo me ya Sazde me jaate hain._________________________________________________________________

7)// Ahle Hadith shaheed ki Ghaibana Namaz Parhte hai.//

Reply:- Jis Din Nejaashi Faut huaa , Rasulullah sws Sahaba ke Saath Nikle , Saf Bandi ki Aur 4 Takbeerat ke saath Namaz Janaza Ada ki.{Bukhari:- 1254 } Kitabu Janazaa{ Muslim:- 951 } Kitabu Janazaa

Aur Fermaya ke “ apne bhai ki Namaz-e- Janaza Ada kero kyoke Ardh Ghair me Fout hua hai. {Ibne Maza:- 1537, Baab Aljanaza , Fil Salat ala Nejaashi }_________________________________________________________________

8)// Ahle Hadith Ek Maqaami Juban aur 1 Arabi Juban me dete hain.//Reply:-

Sare Hanfi Masjidoo me ye hota hai. Aur Alhamdolillah Saudi Arab aur tamam Arab Mulk ke Ahle Hadith Masjidoo me Sirf Arabic Juban me hi Khutba hota hai. Siwaye Asian Aur Western Cuntries ko choor ke.

Qur’an ka ishara dekhte hain.Aur humne koi Paigambar nahi bheja magar wo apni Qaum ki juban bolta tha take unhe Ahkam –e- Ilahi khool khool ke bata de.Ibrahim( 14:4)

Hadith

Rasulullah sws Khutba me Quran Parhte aur logo ko Naseehat kerte. (Muslim : 862)

HANFI FIQH DEKHO: Rad Mukhtar (4/522) Khateeb Arabic ke alawe bi kisi aur Language me Khutba de sakta hai.

Ab Fatwa Sheikh bin Baaz ka parho ( Fatawa ibne baaz 12/ 372 ) Ager Masjid me Non Arab jyada ho aur wo Arabic na samjhe to isme koi harz nahi ke khutba non Arabic language me dia jaye, ya khutba Arabi me den eke baad uska tarjuma ker dia jaye..!

Naseehate us jubaan me di jaati hai jo logo ko samajh me aawe.! Ye Samjhne waali baat hai. Jahil Hanfi khud ye kaam karte hai per hum pe ungli uthhate hai,_________________________________________________________________

9)// Ahle Hadith Tahajjud me alag Adhaan dete hain. //:–

REPLY:-

Rasulullah sws ne Farmaya “ Tumhe Bilal ki Adhaan Sehri khaane se na rooke , kyoke wo raat ko adhaan dete hain take Tahazud Parhne waala lout aaye, aur soone wala Khabrdaar ho Jaaye.(Bukhari. 621)(Muslim 1093)

Abdullah bin Umar ra Fermaate hai” doono Moazzino ke Dermeyaan sirf is qadar ka Waqfa hota tha k eek Adhaan de ker utarta aur doosra Adhaan ke lie Charh Jaata.( Muslim : 1092)_________________________________________________________________

10)// Ahle Hadith Rukoo me jane se pahle, Rukoo ke baad aur 2 rekaat ke tashhud se uthne ke baad rafadain karte hain.//REPLY:– Abdullah bin umar r.a. Shuru Namaz me, rukoo se pahle rukoo ke baad aur do rekaate perh ker khara hote waqt Rafadain kerte the aur fermate the ke Rasulullah sws bhi isi tarah kerte the.{ Bukhari 739 }

Abu Dauood Kitabusalah: Hadith Number 721,722,723,726,727,728,729,730,733,738,739,741,742,743,744,745 sub kee sub mai Rafayadain ka zikar hai khud check

Bukhari say : Kitabul Azan & Kitabusalah: Bab Number: 474 476 477, hadith number 738,735 Muslim Hadith number:390,391

Saydena Ali r,a, Fermate hai Rasululah sws Namaz ke shuru me , rukoo me jaane se Pahle aur Rukoo se sar uthhane ke baad aur do Rekaate perh ker khare hote waqt Rafa dain kerte the.{ Abu Dawood 744, } {Ibne Maza 864} {Imam tirmizi ne sahi kaha 3423}_________________________________________________________________

11) Rasulullah sws ke Aakhri umr tak Rafadain nahi kerte the.

REPLY:- Waail bin Hazar R.a. Fermaate hai : Maine Nabi Akram sws ko dekha jab aap namaz shuru kerte to “ Allah Akbar” kahte aur apne dono haath uthhate, fir apna haath kapre me dhaank lete fir daya haath baye per rakhte. Jab rukoo kerne lagte to kapro se haath nikal lete “ Allah Akber “ kahte aur Rafadain kerte , jab rukoo se uthhte to “ Sameallah huleman Hameeda “ Kahte aur Rafadain kerte.{ Muslim 401 }

Wail bin hajar r.a. 9 Hijri 10 hijri me Rasullulah sws ke paas aaye. Lehaza ssabit hua ke Rasulullah sws 10 Hijri tak Rafadain kerte the , 11 Hijri me Nabi Rahmat sws ne Wafaat paayi._________________________________________________________________

12)// Ashra Mobasheereen se Rafadain Sabit kerna:-//Reply:-

Upar 2 Hadithe mil gai hongi jinme 2 khule Rasheen hain. Aur Rafadain ki kul 50 se Jyada hadithe maujood hai. Aur Rasulullah sws ki sunnat hone ke lie 1 hadith humare liye kaafi hai. Juroori Nahi ke har hadith har Sahabi se saabit ho tabhi wo Wajib e Aml hoti hai. Ye Mahaz Jahiliyat hai. Hadithe Hanfiyoo ki Juroorat ke Mutabiq nahi hoti, Balke Rasulullah sws aur Sahabiyo kea ml wa rawiyo ki yaad aur llm ke Mutaabiq hoti hai._________________________________________________________________

13)// Ahle Hadith Dua Qunoot ke Aakhir me “ Nastagfiruka wa natoobo Ilaik “ Parhte hain.//

Reply:- Bohtaan hai ye Ahle hadithoo pe.Ye Rasululah sws ki sikhai Dua Qunoot me Shamil nahi hai. Lehaza ye Izaafa hai aur hum ye nahi parhte.

_________________________________________________________________

14) //Ek Majlis me 3 Talaaq ko Rasulullah sws ne 3 kahi ya 1.?//

Reply:-Pahle to ye Quran ke khilaaf hai.Aye Nabi Musalmaano se kah do ke jab apni biwi ko talaaq dene lage to unki Iddat ko pesh nazar rakh ker Talaaq do. ( Soorah Talaq, 65: 1)

Abu Sahba ra ne Ibne Abbas ra se kaha” kya tumhe pata hai, Rasululullah sws ke zamane me 3 Talaaq 1 maane jate the , Aur Abu bakr ra ke zamane me bhi, aur Omar ra ke Khilafat ke 3 saal tak? Ibne Abbas ra ne jawab dia : Haa !Bukhari (English, Bk 9, 3492)_________________________________________________________________

===========HANFIYOO KE LIYE NASEEHAT QURAN KI==============So

qasam hai teray perwerdigar ki! Yeh momin nahi ho saktay jab tak kay tamam aapas kay ikhtilaf mein aap ko haakim na maan len phir jo faisla aap inn mein ker den inn say apney dil mein kissi tarah ki tangi aur na khushi na payen aur farmanbardari kay sath qabool kerlen.{ Nisa :- 65 }

ALLAH TAALA HIDAYAT DE………..AAMEEN