FIQH HANAFI AUR HADITH E NABAWI ME IKHTELAAF


Birmillahirrehmanir raheem

Is article me ye samjhane ki koshish ki jaayegi ke FIQH aur SAHIH HADITH Me ikhtelaaf ho to iski taraf ruju karna chahiye…..AFSOS Hamare muqallid bhai hadith chhod dete hain aur fiqh par amal karte hain.

Yahan kuch ikhtelaaf bayan kiye ja rahe hain..

KUTTE KA CHATNA:

Nabi sws ka huqm hai:-

” Hz abu hurairah ra riwayat karte hue kahte hai ki nabi sws ne farmaya jab kutta tumhare bartan se paani pee jaaye to use 7 baar dho”

( Bukhari)

Fiqh kahti hai-” jab bartan se kutta pee jaaye use 3 baar dho”

( Hidaya, kitabut tahara)

Bukhari aur muslim ki hadith ke khilaaf hai! Bhaiyyon zara socho,

BAITULLAH KI CHAT(ROOF) PAR NAMAZ:

Nabi sws ki manahi:-

” Hz ibne umar ra riwayat karte hue kahte hain ki nabi sws ne baitullah ki chhat par namaz padhne se mana kiya”

( Tirmizi)

But fiqh kahti hai

” Kaabe ki chhat par namaz padhna jayez hai”

( hidaya baabus salat phil kaaba)

AURTON KI IMAMAT KA MASLA:

Nabi sws ki izazat-

” nabi sws ne umme warqa ko apne ghar walon ki imamat karane ka huqm diya”

(abu dawood baab imamatun nisa)

“hz aisha ra tahira ra ke beech me khadi hokar aurton ki imamat karti thi”

( mustardark haakim baab imamatul imraat)

Fiqh kahti hai-

” sirf aurton ko jamaat se namaz padhna maqrooh hai”

( hidaya baabul imamat)

Hanafi bhaiyon! Nabi kareem sws to sirf aurton ko bhi jamaat se namaz padhne ki izajat den aurat ki imamat aurton ke liye jayez rakhi gayi lekin fiqh me yah kaam mana qaraar paya gaya, socho to sahi hadith ki barabari kitni buri cheez hai aur nabi sws ke huqm ke muqable me nahi kahna kitni badi zyadati hai aur phir is fiqhi yukrah se is kaam ko haram samjh rakha hai ki hanafion ke yahan aurat ki imamat aurton ke liye bilkut hai hi nahi.

NABAALIGH( UNDER AGE) KI IMAMAT:

” AMR BIN SALMA RA NE 6 YA 7 SAAL KI UMAR ME LOGON KI IMAMAT KARAYI”

( Bukhari)

Logon ne amr bin salma ko apna imam banaya uske peeche namaz padhi, nabi sws ko is imamat ka zaroor pata tha agar bacche ki imamat najayez hoti to huzoor mana kar dete ya zaroor aasmaan se wahiy aa jaati ki bacche ki imamat jayez nahi, isliye bacche ki imamat se khuda aur uske rasool sws ki khamoshi bacche ki imamat ke jayez hone ki daleel hai

FIQH:

” nahi jayez waaste mardon ke namaz padhe peeche aurat ke ya bacche ke”

(hidaya part 1 babul imamat)

Amr bin salma ra saat saal ke bacche ke peeche nabi kareem sws ki zindagi me qur’an ke utarne ke dauraan me mardon ne namaz padhi, na khuda ne roka, na huzur ne mana kiya lekin fiqh kahti hai “nahi” jayez hai ye kaun sahab hain kahne wale, yah to sirf nabi sws ka hi haq hai , ummati bina daleel ke aisa nahi kar sakte.

GIFT KI HUI CHEEZ KA MASLA:

Nabi sws ka irshad hai-

” hz ibne abbas ra riwayat karte hue kahte hain ki nabi sws Ne farmaya gift ki hui cheez ko wapas lene waala kutte ki tarah hai jo apni ulti(qaiy) karke chaat leta hai”

( bukhari)

FIQH:

” jab kisi gair aadmi ko koi cheez gift kar di jaaye to girf karne wale ko use waapas lene ka haq hai”

( Hidaya kitabul hiba)

ISTASQA KI NAMAZ BA JAMAAT:

Nabi karim sws ki sunnat-

” abdullah bin zaid ra riwayat karte hue kahte hain ki nabi kareem sws namaz istasqa ke liye sahaba ko lekar eidgaah ki taraf nikle aur 2 rakat namaz unchi kirat ke saath padhayi, qible ki tarah hi apni chadar paltayi”

( Bukhari, muslim)

FIQH:

” Imam abu hanifa rh ne kaha ki istasqa ke waqt namaz masnoon nahi”

( Hidaya baab ul istasqa)

JANAZE KI GAAYBAANA NAMAZ:

Nabi sws ka amal

” jis din shah najjasi ki wafaat hui nabi sws ne uski wafaat ki khabar( wahi ke zariye) sahaba ra ko di ( ki aaj najjasi habsha me wafaat paa gaya hai) phir huzoor sws unhe lekar eidgaah tashrif le gaye unhe Lineno me khada karke (najjasi) ki janaze ki gaaybaana namaz 4 taqbeeron se padhai”

(bukhari,muslim)

FIQH:

” namaz gaaybaana jayez nahi”

(durre mukhtar part 1 baab salatul janaiz)

JAMAAT ME IKHARI TAQBEER

Nabi sws ka huqm

” nabi karim sws ne hz bilal ra ko huqm kiya ki we azaan ke qalime dohre karen aur taqbeer ke qalme ikhare kahen siwaay ‘kad ka matis salaat’ ke”

(bukhari ,muslim)

FIQH:

” Aur iqamat azaan ki tarah dohri hai”

( Hidaya babul azan)

NAMAZ KI IMAMAT KA MASLA

Rasool ka irshad hai-

logon ki imamat kaun kare? Is baare me nabi karim sws irshad farmate hain-

” imamat kare logon ki wah jo sabse jyada quran ka qaari ho aur agar qirat( ke janne me) sab barabar ho to phir sabse jyada sunnat ko jaanne waala imamat kare agar sunnat ke ilm me bhi sab barabar hon to umar me sabse bada imamat kare”

(muslim)

Zara is hadith ke baare me sochen ki huzoor ne imamat karne ki 4 Sooratien bayan ki hain, lekin fiqh hanafi ne 21 bayan ki hain.. Zara gaur karen

To be continued

6 thoughts on “FIQH HANAFI AUR HADITH E NABAWI ME IKHTELAAF

  1. NOTE: HAM NAHI MAANTE KE YE FIQHI MASAIL IMAM ABU HANIFA KE HAIN, KYONKI UNKA MAZHAB AHLE HADITH THA…. YE FIQHI MASAIL BAAD KE LOGON(HANAFI MUQALLID) NE UNKI TARAF MANSOOB KIYA HAI….. INSHAALLAH IMAM ABU HANIFA RH KE AHLE HADITH HONE KE DALAIL JALD DIYE JAAYENGE…… SABR RAKHEN.

  2. bukhari main hadees hai chppal ya joota pehan kar namaz parheny ki … Tamam ahe-hadees se guzarish hai IS hadees par amal kar ke dikhain…..Moulana waheed uz zaman sb mota imam malik k tarjuma main likhte hian … k joota samait namaz parhana sunnat hai .. or shaba ne or tabaaeen ne jota samaith parhi… to apne ahle hadees hone ka saboot dain or amal karina…

  3. Haan, jhoota, chappal pahen kar namaz jayez hain, basharte gandangi na lagi ho………

    Mera joota paak nahi rahta aksar gandagi lagi rahne ka shak hota hai…….

    Agar aapko yaqeen ho ki aap waise hi paak rahte hain jaisa sahabi, tabein… To aap pahan kar namaz padh sakte hain

  4. As Salam…bhai kya ye baat sahi hai ki hanafi ki hidaya kitab main likha hua hai ki “maa apne bachche ko 30 months (2.5 years) saal tak doodh pila sakti hai..?”
    agar haan to kahan…….waiting

  5. WASSALAM

    shabbir ahmad usmani deobandi likhtey hain :”doodh churaney ki muddat jo yahan 2 saal byan hui ba aitebaar ghalib aur aksari aadat kay hai. imam abu hanifa jo aksar muddat dhaai saal batatey hain in kay pass koi aur daleel ho gee.”

    jamhoor kay nazdeek do hee saal hain

    wallah u alam

    (tafseer e usmani surah luqmaan ayat 14 hashia 10)

Leave a comment