EIDGAAH ME AURTON KO NAMAZ KA HUQM


Bismillahirrahmanirraheem

” hz umme atiya ra kahti hai ki hamen huqm(order) diya gaya ki ham( sab aurton ko yahan tak ki) haiz waaliyon aur parda waaliyon ko (bhi) done eidon me (gharon se) nikaalen taaki we (sab) musalmanon ki jamaat(namaaz ) aur unki dua me haazir hon, aur farmaya haiz waaliyan namaz ki jagah se alag rahen,(yani we namaz na padhe), lekin musalmanon ki duwaon aur takbeeron me shaamil rahen, taaki allah ki rahmat aur bakhshih se hissa paayen, ek aurat ne arz kiya ki agar ham me se kisi ke paas chaadar(cloth) na ho(to phir eidgaah kaise jaayen)?? Farmaya:-” usko uski saath waali aurat chadar udha de (yani kisi dusri aurat se chadar maang kar chale”

( bukhari, haiz, 324,351,971,974, muslim, salatul eidain 890)

” rasullullah(sws) sahaba aur sahabiyaat ko (yahan tak ki haiz waali aurat ko bhi) saath lekar eidgaah ki taraf jaate, aapki eidgaah masjid e nabwi se hazaar feet ke faasle par Thi(fathul bari), yah eidgaah baqi ki taraf thi”

(sahih bukhari fatah,2/465, hadith 976, kitabul eidain)

“Aap (sws) aur hz abu bakr wa hz umar ra eidain ki namaz khutbe se pahle padhte they”

(sahih bukhari 962,963,muslim baab salatul eidain 884)

AQLMAND BARELWIYON SE CHAND(FEW) SAWALAAT


bismillahirrahmanirraheem

1) Wali AUR Awliya kise kahte hai?

Quran aur hadith ke mutabiq kon Wali hai.?

Is baat ki guarantee kon lega ke fala shaksh jo mar gaya hai wo wali hai.ya wali tha?

2)Kon kon se Ambiya aur Rasool ko Allah ne Ghaib ka ilm dia tha.?

Daleel ke saath jawab de.Moosa , Isa, Suleman, Ibrahim, Nooh as ko Ghaib ki ilm thi ya nahi?

kya Zibrail as ko Ghaib ki ilm hai.?

3)Isa as ki Paidiash Barailwi Hazraat manaate hai ya nahi.?

Ager manaate hai to Daleel dijiye. Ager Nahi manate to bhi Daleel dijiye.

4)Aap Hanfi kyo hai..?

Aaap ke Nazdeek Hadith ki kitabo ka kya Martaba hai.?

Ager Abu Hanifa ki Qawl Sahi Hadith se Takraa Jaye to Aap kya kerenge.?

5) Muqallid hona kyo juroori hai./ Allah ke Rasool ne kahan kaha hai ke Mujhe chhor ker Imam banao.?

Aur Abu Hanifa hi kyon..? Aap Imam Shafai ko kyo nahi maante.? Aap ka tareeka Imam Hambli pe kyo nahi hai..? Aap kahte hai 4 Imam barhaq hai lekin aap 3 ko thukrate hai kyo.?

6)Barailwiyo ke Imam kon hai. prophe t Muhammad pbuh ya Imam Abu hanifa ya Ahmed Raza khan?

Kis kis ka Qawl maan jata hai aur kyo..? isme Ahmed Raza khan ka Aqeeda tareeka Qawl Imam abu hanifa ya aur imamo se takra jaaye to aap kya karenge.?

7)Mushrik kise kahte hai.? Makka ke kaafir Allah ko maante the ya nahi.? Ager maante the fir bhi Allah ne unhe Mushrik aur Kaafir kyo kaha.? Un ke kon kon se Aml the jin ki bin ape Allah ne unhe Badtareen Mushrik aur Kaafir kaha.?

8) Ahmed Raza khan ki Kitaabo me Shirk aur Bioddat maujood hai?

Ahmed Raza khan ka Fatwa aur uska Aqeeda bilkul Imam abu Hanifa ke Khilaaf hai. Is halat me Imam Abu hanifa ka aqeeda sahi mana jaayega ya Ahmed Raza khan ka..?

Dono ke Aqeede kai Jagah pe takraate hai kis ki daleel maani jaayegi?

9) Barailwiyo aur hanfi ke kisi bhi Masjid me Aurato ke Namaz perhne ka Ehtemaam nahi kia jata.? Aur Aurate Masjido me Mard Imam ke pichhe nahi perhti aisa kyo…? Maine khud apni aankho se dekha hai barailwiyo ko aur Hanfi ke kisi bhi madrse se Aurato ke Co- educati on me Na perhne, Market me bagair proper perda nikale ka Fatwaa nahi hai..Lekin Masjid jaane ka hadith umar Farooq ki qawl nazar aati hai..Doubl ed standard kyo..?

10) Aap Namaz me kya parhte hai. ?

Namaz aur zindagi ke aml ke saari duaaye Allah ke rasool Sws ne jo Haditho me batai hai usme kon si Dua ghairullah se ya Makhlloooq ke waseele se maangne jaane wali hai.?

Kon si duaa Waseele se ki jaaye.?

Kon se Nemaat Bujurgo murdo Qabro Mazaaro se maangi jaaye.?

Daleel ke saath bataiye!

YA ALLAH MADAD KABHI MUH SE NA NIKLA (ASTAGHFIRULLAH) BARELWI AQEEDA


Bismillahirrahmanirraheem

barelwi ka aqeeda hai ki khuda se maangne ki koi zarurat nahi jo kuch lena hai wah buzurgon se liya jaaye jo maangna hai inse maanga jaaye, yahi madad karne waale aur fariyaad sunne waala hain, allah ne saare rights inhe de diye par khud muattal ho chuke hain, us tak kisi ki pahunch bhi mumkin nahi aur usse maangne ki kisi ko zarurat bhi nahi.

Janab ahmad raza khan likhte hain:

” ek baar sayyid juned baghdadi rh dajla tashrif laaye aur ya allah kahte hue us par zameen ki tarah chalne lage, baad me ek shakhs aaya use bhi paar jaane ki zarurat thi koi kashti us waqt maujood na thi, usne hazrat ko jaate dekha to kaha – main kis tarah aaun?? Farmaya- ya juned ya juned kahta chala aa, usne yahi kiya aur dariya par zameen ki tarah chalne laga, jab beech dariya me pahuncha to SHAITAAN NE uske dil me waswasa daala ki hazrat khud to ya allah kahen aur mujhse ya juned kahalwaate Hain main bhi ya allah kyon na kahun?? Usne ya allah kaha- aur isi ke saath gota khaaya- pukaara hazrat main chala, farmaya wahi kah- ya juned ya juned— jab yah kaha to dariya se paar huwa’

usne kaha hazrat yah kya baat thi?? Aap allah kahen to paar hon aur main kahun to doobne lagun, farmaya-aree nadan! Abhi tu juned tak nahi pahuncha allah tak pahunchne ki hawas hai”

(hikayat e rizwiya- 52,53)

yani aam insaano ko chahiye ki e sirf apne buzurg aur peeron ko hi pukaaren kyonki allah tak unki pahunch nahi jabki allah ka irshaad hai

wa iza sa aa laka ibaadi inni fa inni qaredun ujibuda watad daai iza da-aani

trans: “jab (aiy nabi) tujhse mere bande mere baare me punche to farma dijiye ki main qareeb hun, jab koi pukaarne waala mujhe pukaare main uski pukaar sunta hun aur qubool karta hun”

(qur’an)

wa nahnu aqrabu ilaihi min hablil wareed

trans: ” ham insaan ki shahrag se bhi zyada qareeb Hain”

(qur’an)

baharhaal barelwi hazrat hikaayaton se jo kuch saabit karna chaahte hain qur’an majeed ki aayaten us sab ko radd karti hai,

allah taala ki naazil karda ye ayat bilkul fit baithti hai-

” yah hai inke ilm ki hadd, beshak allah un logon ko bhi baakhoobi jaanta hai jo uske seedhe raaste se bhatke hue hai aur unko bhi baakhoobhi jaanta hai jo hidayat waale hain”

(najam 30)

allah taala hidayat de aur inhe gumraahi se bachaaye rakh

ELM-E-GHAIB(UPDATED)


Bismillahirrahmanirraheem



” ek raat nabi akram(sws) apne bistar se uthkar baahar chale gaye, hz aisha (ra) bhi unke peeche baahar nikal aayin, aap (sws) ne baqiul gharqad(madine ka qabrastan) pahunchkar duwaye maghfirat ki aur waapas aa gaye, hz aisha ra unse pahle apne bistar par pahunchne me kaamyaab ho gayi lekin saans(breath) chadhi(fooli) hui thi, nabi akram sws ne wajah malum ki, hz aisha ra ne taalna chaaha, aapne farmaya-” aisha ! Bata do warna mera allah mujhe bata dega”, is par hz aisha ne saari baat suna di”

(sahih muslim 974)

isse malum huwa ki ghar se nikalte waqt hz aisha ra ko malum na tha ki nabi akram (sws) kidhar aur kyon jaa rahe hain aur nabi(sws) ko bhi malum na huwa ki hz aisha bhi mere peeche thi??


” hz maswar bin yazid ra se riwayat hai ki ek baar nabi sws ne qir’at me qur’an ka kuch hissa chhod diya, ek aadmi ne kaha:- aapne falan ayat chhod di to aapne kaha:-” tune mujhe yaad kyon na dilaaya”


(abu dawood 907)


yani aap sws kabhi kabhi bhool bhi jaate they

SHAITAAN KI CHAAL HINDU, BARELWI KA EK HI KAAM


SHAITAAN KI CHAAL HINDU, MUSLIM(BARELWI) KA EK HI KAAM

Thinking of a “Hindu”

Mein mandir jata hon Tu Mazar jata hai

Mein Prasad khata hon Tu Lungar khata hai

Mein Nariyal charhata hon Tu chadar charhata hai

Mein Ashirvad leta hon Tu Muraad leta hai

Mein haath jodta hon Tu matha tekta hai

Meri bhi bigri ban jati hai Teri bhi muraad bhar ati hai

Jab koi farq hai nahi To tera mera bhagwan alag kyun hai?

Tere Nabi toh masjid jate thay, Phir Tu Mazar kyun jata hai?

Tere Nabi ne toh dua ke liye uper haath uthaye To Tu kyun Qabr se chimat ta hai?

tere nabi ne toh sirf apne Allah se manga tu kyun mazaron par sar phorta hai?

Itna bata de ke agar Mein kafir hon to phir tu kaun hai???

KYA YAHI DEEN E ISLAAM HAI??? (BARELWI AQEEDA)


BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM




Barelwi maslak ke logon ka aqeeda hai ki awliya na sirf marne ke baad khud zinda rahte hain balki we dusre murdon ko bhi zinda kar sakte hain

dekhiye is tarah ki daleel–


” huzoor gaus e paak ra ki wa’aaz ki majlis me ek baar tez hawa chal rahi thi, usi waqt ek cheel(eagle) uper chillati hui guzri jisse wa’aaz sunne walon ka dhyan bat gaya, aapne nazar bhar kar uper dekha wah cheel marr gayi sar badan se alag ho gaya, waa’aaz ke baad huzoor chalne lage wah cheel mari padi thi aapne ek haath me sar uthaya aur dusre haath me badan aur dono ko bismillah kah kar mila diya, wah udh kar chali gayi”

(bagh e firdaus 27)


Barelwi hazraat ki kuch daleelon me badi dilchasp lateefe hote hai, aisi ki ek hikaayat aap bhi sune–

” do sahab awliya kiram me se ek dariya(river) ke kinaare, dusre dariya ke us kinaare rahte they, inme se ek sahab ne apne yahan kheer pakaayi aur khaadim se Kaha, ise mere dost ke yahan pahuncha de,


khadim ne kaha- huzoor ! Raaste me dariya(river) padta hai main ki tarah paar karunga kashti(boat) to hai nahi,

farmaya- dariya ke kinaare ja aur kah ! Main uske paas se aaya hun jo aaj tak apni aurat ke paas nahi gaya,


khaadim hairaan tha ki yah kya paheli(quiz) hai? Isliye ki hazrat to awlaad waale they, bahar haal hukam ka poora karna zaroori tha, dariya par gaya aur wah paighaam jo unhone bataya tha kah diya,

Dariya ne fauran raasta de diya,

uske paar pahunch kar us buzurg ki khidmat me kheer pesh ki,

unhone kheer khaayi aur farmaya, hamara salaam apne aaqa se kah dena,

khaadim ne arz ki- salaam to tabhi kahunga jo dariya se paar jaaunga,

farmaya, dariya par jaa kar kahiye- main uske paas se aaya hun jisne 30 saal se aaj tak kuch nahi khaaya,

khaadim bada hairaan huwa ki abhi to unhone mere saamne kheer khaayi hai agar izzat(respect) ki wajah Se khamosh raha, dariya par aakar jaisa farmaya tha kah diya, dariya ne phir raasta de diya”

(hikaayete rizwiya 53)


Auliya kiram ki kudrat par aur aur daleel-

” hazrat yahya muneeri ke ek mureed dariya(river) me doop rahe they, hz khidr (as) zaahir hue aur farmaya- apna haath mujhe de ki tujhe nikaalun, us mureed ne arz kiya–” yah haath hazrat yahya muneeri ke haath me de chuka hun ab dusre ko na dunga,

hz khidr as ghayab ho gaye aur hz yahya muneeri zaahir hue aur unko nikaal liya”

(malfuzaat 2/164)


” hz bashar haafi qudus sirrahu pair(feet) me joota(shoes) nahi pahante they, jab tak zinda rahe tamaam jaanwaron ne raaste me leed gobar(dung) peshaab karna chhod diya taaki bashar haafi ke pair(feet) kharaab na hon, ek din kisi baazaar(market) me leed(dung) padi dekhi- kaha, inna lillahi wa inna ilaihi raajioon,

‘ pucha gaya kya baat?? Kaha gaya- haafi ne inteqaal farmaya, tahqeeq ke baad Yah baat malum hui”

(hikaayat e rizwiya 172)


Awliya kiraam chahen to qabron se azaab bhi utha sakte hain zara daleel dekhiya-

” ek baar sayyida ismael hajrami ek qabrastaan me se guzre, imam muhibbudin tibri bhi saath they, hz sayyidi ismael ne unse farmaya- kya aap is par imaan laate hain ki murde zindon se salaam karte hain”

arz kiya- haan ! Is kabr waala mujhse kah raha hai ” main jannati ki bharti mese hun”

aage chale, 40 qabre thi, aap bahut der tak rote rahe , yahan tak ki dhoop chadh gayi, iske baap aap muskuraaye aur farmaya, tu bhi unhi me hain,


logon ne yah kaifiyat dekhi to arz kiya- “hazrat ! Yah kya raaz hai ? Hamari samjh me kuch na aaya”


farmaya- in qabron par azaab ho raha tha jise dekh kar main rota raha aur maine shafaat ki, allah ne meri shafaat kubool ki aur unse azaab utha liya,

ek qabr kone me thi jiski taraf khayal na gaya tha usme se aawaaz aayi-

‘ aiy mere aaqa ! Main bhi to unhi mese hun mai falan gaana gaane waali domni hun,

mujhe uske kahne par hanshi aa gayi aur maine kaha ‘ tu bhi unhi me se hai’, is tarah us par se bhi azaab utha liya gaya”


(hikaayte rizwiya 200,201)


ye hain barelwiyon ke we mazboot daleelen jinka inkaar kufar wa irtidaad ke jaisa hai jo inka inkaar karega uspar wahabi wa kufar ka fatawa laga diya jaayega…

BARELWI HAZRAAT AUR QABRON ME PICNIC


Bismillahirrahmanirraheem

barelwi hazraat ka aqeeda hai ki ambiya kiram aur auliya kiram apni qabron me zinda hain, maut ke baad bhi we duniyawi zindagi ki tarah uthte baithte sote aur jaagte hain apne mureedon ki baaton ko sunte hain aur unki maangon(demands) ko poori karte hain

zaahir hai ki yah aqeeda kitab wa sunnat se to saabit nahi hai albatta bahut si hikaayte aisi hain jinse is aqeede ki daleel saabit ho jaati hai, khan sahab barelwi likhte hain:-

” imam abdul wahab shorani kudus sirrahu har saal hazrat sayyidi ahmad badwi kabeer ra ke urs par haazir hote, ek baar unhe der ho gayi to maujawaron ne kaha ki tum kahan they ? Hazrat baar baar mazaar mubarak se parda utha kar farma rahe hain.

Abdul wahab aaya? Abdul wahab aaya?

To abdul wahab kahne lage-” kya hujoor ko mere aane ki khabar hoti hai ?”

mujawaron ne kaha-‘ khabar kaisi ? Huzoor to farmate hain ki kitni hi door se koi shakhs Mere mazaar par aane ka iraada kare to main uske saath hota hun aus uski hifazat karta hun”

( malfuzaat 275)

” do bhai allah ke raaste me shaheed ho gaye unka ek teesra bhai bhi tha jo zinda tha, jab uski shadi ka din tha to dono bhai bhi shadi me shirqat ke liye tashrif laaye, wah bada hairaan huwa aur unse kahne laga ki tum to marr chuke they, unhone kaha ki allah ne hamen tumhari shadi me shareeq hone ke liye bheja hai,

aur in dono (marne waale) bhaiyyon ne apne teesre bhai ka nikaah padhaya aur wapas chale gaye”

(hikaayat e rizwiya 116)

yani wafaat ke baad we duniya me aaye, shadi me shamil hue, nikaah padhaya aur waapas apni jagah chale gaye

yah daleel hai is baat ki ki nek log marne ke baad bhi zinda hote hain aur duniya se unka talluq khatm nahi hota, INNA LILLAHI WA INNA ILAIHI RAZIUN

ek aur daleel dekhiye-

“Abu saeed faraz kudus sirrahu raawi hai ki main makka moazzama me tha , baab bani shayba par ek jawan mara pada tha, jab maine uski taraf nazar ki to mujhe dekhkar muskuraaya aur kaha-

” aiy abu saeed ! Kya tum nahi jaante ki allah taala ke pyaare bande (marne ke baad bhi) zinda hote hain jabki we zaahir me marr jaate hain, we to ek ghar se dusre ghar ki taraf lautte hain”

(majmua rasail 2-243)

aage suniye-

” sayyad abu ali kudus sirrahu riwayat karte hain- ” maine ek fakeer(sufi) ko qabr me utaara, jab kafan khola unka sar mitti par rakh diya, fakeer ne aankhen khol di aur mujhse farmaya-‘ aiy abu ali ! Tum mujhe uske saamne zaleel karte ho jo mere naaz uthata hai ?

Maine arz ki- aiy mere sardar ! Kya maut ke baad bhi tum zinda ho ?

Farmaya- ” main zinda hun aur khuda ka har pyaara zinda hai, beshak wah izzat jo mujhe qayamat me milegi usse main TERI MADAD KARUNGA “

(Majmua rasail )

hikaayat ki surat me ek aur daleel dekhiye-

” ek bibi ne marne ke baad khwaab Me apne ladke se farmaya-” mera kafan aisa kharaab hai ki mujhe apne saathiyon me jaate sharm aati hai (saabit yah karna chaahte hain ki murde ek dusre se mulaqaat karte hain) parson falan shakhs aane waala hai uske kafan me accha kapda rakh dena, subah ko sahabjaade ne uthkar us shakhs ka pada kiya, malum huwa ki puri tarah theek hai aur use koi marz nahi

teesre din khabar mili ki uska inteqaal ho gaya hai ladke ne fauran bada accha kafan silwa kar uske kafan me rakh diya, aur kaha, yah meri maa ko pahunchadena’, raat wah bibi sapne me apne bete se boli khuda tumhe ajar de tumne bada accha kafan bheja”

(hikaayat rizwiya)

” jaunpur ki ek nek ladki marr gayi use kahin dafan kar diya gaya, isi tarah jaunpur ka ek gunahgaar shakhs madeene me dafan kar diya gaya, phir koi sahab hajj ko gaye to dekha ki madeene me gunaahgaar ki qabr me to ladki hai aur jaunpur me us ladki ki qabr we wah gunahgaar hain”

(mawaize naeem 24)

ZAMAANE KO BURA MAT KAHO


Bismillahirrahmanirraheem

PROHIBITION OF ABUSING TIME ( DAHR)

zamane ko bura mat kaho :

Hazrat Abu HurairahR.A. kehte hai k Rasool Allah S.a.ne farmaya k Allah T.farmata hai” Ibne Adam( insan) mujhe takleef deta hai(is tarah k )wo zamane ko bura kehta hai halaan k zamana( kuch nahi wo to) mai hi hu. sab tasarrafaat mere qabze may hai aur shab wa roz ki gardish mere hi hukm se hoti hai.

Sahih Bukhari, Book 027 , Number 5582 :

Sahih Bukhari, Book 027 , Number 5581 :

Sahih Bukhari, Book 028 , Number 5612 :

HADH KAR DII!(PART 2)


Bismillahir rahmanirraheem

qur’an wa sunnat me to in aqeede ka koi wajood nahi inhone khud ki aqeede gadh liye aur phir inki daleelon ke liye is tarah ki mangant kahaniyon ka sahara liya,

awliya kiram ki kudrat wa taqat ko bayan karne ke liye barelwi hazraat ek ajeeb(amazing) riwayat ka sahara lete hain, likhte hain:-

” ek shakhs sayyidena ba yazeed bastami ra ki khidmat me haazir huwa, dekha ki panjon ke bal ghutne teke, aasmaan ki taraf dekh rahe hain aur aankhon se aansuon(tears) ki jagah khoon daud raha hai, kaha-

‘ hazrat! Yah kya haal hai?’

farmaya-” main ek kadam me yahan se arsh tak gaya, arsh ko dekha ki rabbe azzo jalal ki talab me pyaase bhediye(dears) ki tarah muh khole hue hain, hamen nishan dete hain ki rahman arsh par maujood hai main rahman ki talaash me tujh tak aaya tera haal yah paaya’

arsh ne jawab diya- mujhe irshaad karte hain ki aiy arsh! Agar hamen dhundna chaahe to BA YAZEED ke dil me talaash karo”

(hikaayete rizwiya 181,182)

barelwi maslak ke nazdeek auliya kiram se jungle ke jaanwar bhi darr khaate hai aur unka huqm maante hain iski daleel ke liye janab ahmad raza jis kahani ki taraf rukh karte hain wah yah hai:-

” ek sahab auliya kiram me se they, unki khidmat me 2 aalim haazir hue, aapke peeche namaz padhi, tajweed ke kuch qawaid mustahba ada na hue, unke dil me khatra guzra ki acche wali hain jinko tajweed bhi nahi aati, us waqt to hazrat ne kuch nahi farmaya, makaan ke saamne ke nahar(pond) jaari thi, ye dono wahan nahane ke liye gaye, kapde utaar kar kinaare par rakh diye aur nahaane lage, itne me ek khaufnaak sher(lion) aaya aur saare kapde jama karke unpar baith gaya, yah sahab zara zara si laguntia baandhe hue they, ab nikle to kaise ?? Ulama ki shaan ke khilaaf hai jab bahut der ho gayi to hazrat ne farmaya ki bhaiyyon ! Hamare do mehmaan sawere aaye They kahan gaye?

Kisi ne kaha-‘ huzoor ! We to badi mushkil me hain’, aap tashrif le gaye aur sher(lion) ka kaan pakadkar tamacha(slap) maara, usne dusri taraf muh fer liya,

aapne sher se kaha-‘ hamne kaha tha ki hamare mehmano ko na sataana ja yahan se, “sher uthkar chala gaya, phir in dono ne farmaya, tumne zabaane seedhi ki hai aur hamne dil seeda kiya hai, yah unke khatre ka jawaab tha”

(hikaayt e rizwiya 110)

kuch aisi kahaniyan bhi hai jinhe sunkar hanshi ke saath saath rona bhi aata hai, inme se kuch ko yaha bayan kiya hai, kahte hain:-

” sayyidi ahmad sahaj lamaasi ki do biwiyan thi, sayyidi abdul aziz ra ne unse farmaya-

” raat ko tumne ek biwi ke jaagte dusri ke saath sex kiya, aisa nahi karna chahiye tha”

arz kiya-” huzoor ! Wah us waqt soyi hui thi”

farmaya- soti na thi sote me jaan daal li thi (jaani jhoot mooth ki soyi hui thi)

arz kiya-” huzur ko kis tarah pata chala??”

Farmaya-” jahan wah soo rahi thi koi aur palang(bed) bhi tha?”

Arz kiya- ‘ haan ek palang khaali tha,’

farmaya- us palang par MAIN THA’

(hikaayt e rizwiya 55)

is tarah ki khurafaat naqal karte hue bhi sharm mahsus hoti hai in logon ne inko kitab wa sunnat ke muqaable me daleel wa burhaan ki haisiyat de rakhi hai..

Agar yahi deen wa shariat hai to aankh neechi rakhne aur badkaare se bachne ke ahkaam ka kya matlab hai ? Aur agar barelwi qaum ke buzurgaane deen hi is tarah ki gandi harqatein shuru kar den to mureedon ka kya haal hoga??

Jab janab barelwi ek aur hiqayat naqal karke is baat ki daleel pesh karna chaahte hain ki sirf murshid aur peer hi ghaib ka ilm nahi rakhte balki unke mureed se bhi koi cheez chhupi nahi rahti, farmate hain:-

” hz sayyidi sayyed muhammad gesu daraaz qudus sirrahu ki akaabire ulama aur saadaat se they jawani ki umar thi saadaat ki tarah shaano tak to baal rakhte They, ek baar raaste me baithe they hz nasiruddeen charaag ki sawaari nikli, unhone uthkar junu e mubarak bosa diya, hz khwaja ne farmaya ‘yayyad aur neeche bosa do’. Unhone paaye mubarak par bosa diya, ek baal raqaab me ulajh gaya tha wahin uljha raha aur raqaab se sum tak badh gaya, hz ne farmaya-‘ sayyid aur neeche bosa do’, unhone hatkar zameen par bosa diya,

Baal ko raqaab se alag karke tashrif le gaye, logon ko hairat hui ki aise zalilun kadr sayyed ne yah kya kiya? Yah aitraz hz gaisu daraaz ne suna, farmaya ki log nahi jaante ki mere sheikh ne is boson ke badle ke kya ata kiya ? Jab maine janu e mubarak par bosa diya aalam e nusoot mujh par khul gaya, jab paaye aqdas par bosa diya aalam e malkoot khul gaya, jab ghode ke sum par bosa diya to aalam e jabrut roshan huwa aur jab zameen par bosa diya laahot ka raaz khul gaya”

(hikaayte rizwiya 63,64)